Javed Akhtar's Poetry From Zindagi Na Milegi Dobara


Pighlay neelam sa behta hua yeh samaan
Neeli neeli si khamoshiyaan
Na kahin hai zameen
Na kahin aasmaan
Sarsaraati huyi tehniyaan, pattiyaan
Keh rahi hain ki bas ek tum ho yahaan
Sirf main hoon meri saansein hain aur meri dhadkanein
Aisi gehraiyaan
Aisi tanhaiyaan
Aur main sirf main
Apne honay pe mujhko yaqeen aa gaya

Ik baat honton tak hai jo aayi nahin
Bas ankhon say hai jhaankti
Tumse kabhi, mujhse kabhi
Kuch lafz hain woh maangti
Jinko pehanke honton tak aa jaaye woh
Aawaaz ki baahon mein baahein daalke ithlaaye woh
Lekin jo yeh ik baat hai
Ahsaas hi ahsaas hai
Khushboo si hai jaise hawa mein tairti
Khushboo jo be-aawaaz hai
Jiska pata tumko bhi hai
Jiski khabar mujhko bhi hai
Duniya se bhi chupta nahin
Yeh jaane kaisa raaz hai
Jab jab dard ka baadal chaya
Jab ghum ka saya lehraya
Jab aansoo palkon tak aya
Jab yeh tanha dil ghabraya
Humne dil ko yeh samjhaya
Dil aakhir tu kyun rota hai
Duniya mein yunhi hota hai
Yeh jo gehre sannate hain
Waqt ne sabko hi baante hain
Thoda ghum hai sabka qissa
Thodi dhoop hai sabka hissa
Aankh teri bekaar hi nam hai
Har pal ek naya mausam hai
Kyun tu aise pal khota hai
Dil aakhir tu kyun rota hai
Dilon mein tum apni betaabiyaan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum
Nazar mein khwaabon ki bijliyaan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum
Hawaa ke jhonkon ke jaise azad rehna seekho
Tum ek dariya ke jaise lehron mein behna seekho
Har ek lamhe se tum milo khole apni baahein
Har ek pal ik naya samaan dekhein yeh nigaahein
Jo apni aankhon mein hairaaniyaan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum
Dilon mein tum apni betaabiyaan leke chal rahe ho
Toh zinda ho tum

No comments:

Post a Comment

Your voice is important to us. Do Comment.